New Feed

Consequence of evil can never be good!

Friday, 5 April 2013

INTERNET AUR US K MUZAR ASRAAT

Internet ne chand hi salon main bohot taraki ki hai.Shuru main logon ne internet se beshumar fa'ede (benifits) uthaye aur aaj bhi utha rahe hain.Talba (Students) ka aik bara tabka to internet se hi notes hasil karta hai apni assigments k lea bhi bohot sara mawad internet ki madad se hi hasil karte hain.
          

 Internet aaj kal ki buni'yaadi (ahem/important) zaroor'yaat (needs) main shamil ho chuka hai.Jis se hum chalte phirte isteefaada hasil kar sakte hain.Lakin jis tarhan her cheez k fa'ede hote hain usi terhan us k nuksaan bhi hote hain.Isi terhan log internet ko bhi mehaz tafreeh ur khel k lea istemal kar k waqt ka ziya karte hain.Her cheez ka istemal aik had main reh ker kiya jaye to fa'edemand hota hy lakin ager had se tajawaz kar jaye to ma'ashre (society) k lea nasoor ban jata hai.


           Internet bohot si buraiyon ki jar ban chuka hai.Bohot si websites mehaz fahashi phelane ka zar'ya ban gye hain.Log in websites aur mukhtalif mawad ki waja se ikhlaqi iqtedar pasti ka shikar ho gye hain.khule aam burai ka perchar karna bhi burai ko phelane main madadgar sabit hota hai.Internet per mojood mukhtalif fazooli'yaat se mashre (society) main fahashi,berahrawi,dhokadahi (dodge) aur qatal-ogharat jesi buraiyaan phel rahi hain. 
                                 hamari hakoomat ko chayea hai k wo her un websites jis se burai phelne ka khadsha ho un ka sadbad karen.bator musalman mumlikat hone k kam az kam itna karna hamari hakoomat ka farz hai ta k musalmanok bure ta'sur ko khatam karne ki shuroo'aat kaheen se to hasake 


No comments:

Post a Comment