Hum main se bohot se log quran pak to terjume (translation) k sath perhte hon ge lakin shaid sirf 20 se 30 fesad (percent) logon ne hi quran pak k zahiri matlab ko samajne k bad us k batini (chupe howe ) matlab ko talash karne ki koshish ki ho.
QURAN PAK ki her ayat (verse) k peeche ek khas matlab chupa hota hy aaj main yehan misal k tor per ek ayat ka matlab wazeh karne ki ek choti si koshish karti hoon aur umeed karti hoon k us k bad aap sab log aur b aya'aat k matlab samjne ki koshish karen ge.
SORAT FALAK hum main se takreeban sab hi ko zubani yad ho gi.Is ki teesri ayat ko dekhen
tesri ayat ka terjuma "main panah mangta hoon" kia jata hy matlab "main panah mangta hoon ghasiq k sher se " yehan log GHASIQ ka matlab lete hain "andhera karne wala" matlab "rat" mager is lafz GHASIQ ka ek matlab aur bhi hy ur wo hy "CHAND".
Ab logon k zehen main sawal aye ga k "chand main kon sa sher hota hai?"
her cheez main kher aur sher donon mojood hote hain. chand bohot koobsurat hota hai lakin kia kabhi kisi ne samander ki lehron ka mad-o-jazar dekha hai.chand her pani ko kheenchta hai aur insani dimagh main bhi pani (fluids) hote hain chand is ko bhi kheenchta hai kuch logon ka zehni twazun kho jata hy to unhe angrezi mai hum "LUNATIC" kehte hain aur chand ko "LUNA" kehte hain.
to sabit howa k chand aur dimaghi imraz ka apas main ghera taluk hai.
umeed hai k sab is sorat falak main posheeda dosra matlab samaj mai agya hoga. Ab hum per is k poosheda ur zahiri dono matlab wazeh hogye hain
ZAHIRI MATLAB: Hame rat (andhere) k sher se bacha
POSHEEDA MATLAB: Hame chand k shur se bacha
NOTE: Main aaj kal ek novel (janat k pate) perh rahi hoon
us novel mai is ayat k is poosheeda matlab ko ek jaga pe samjhaya gya hy
muj pe iss bat ne asar dala to main ne apni words mai woe cheex aap sab k sath b share ki hy
very well written ! .
ReplyDeleteTHNKS
ReplyDelete