New Feed

Consequence of evil can never be good!

Saturday, 20 April 2013

Choti Si Tip Aap k Liay

       Main shayd us waqt first year may thi jab mujhe pehli bar depression attack hua. Agli bar khuda na kare k apko ho or meri tarha apko b smjh na aey k ' Ye kia hora hay is liay?'... meri jo us waqt halat thi wo aam tor say shadeed garmi may b hosakti hay yani sir main shadeed dard ankho may dard khas nishani hosakti hay, sir ka sun hona or ronay ka dill karna. waise to ye halat aj kal har dosaray ki hoti hay. Khair dawen or khas kar 'meetha' (sweet dish) apko is takleef say nikalnay madadgar sabit hosakti hay.
      Mere Nana Jaan jo k Navy may as a Pharmacologist appoint  reh chukay hain, kehtay hain k kisi ki death pe khali khana kabhi na bhejo sath meetha zaroor hona chaiey ye gham or dukh ko khatam karta hay. Ye baat aap nay b mehsos ki hogi k jab kabhi ap dukhi hn apka dil khud ba khud icecream khanay ko karta hay. Is ki b yahi waja hay k insan ki body ko jis cheez ki zarorat hoti hay woi us ka khanay ka dil karta hy.
       Aik or baat jo bohat ehmiyat rakhti hay wo back bone may pain hay. Depression may rehne walo ko waqt k sath ye takleef bhi shuru hojati hay. Is takleef ko agar ghaansna dali jae to waqt k sath bohat sari takaleef may badal jati hay. Asal may jab hamare brain ko kisi bhi surat may takleef hoi hay to wo sab say nazuk hisso magar khas hisso per asar karna shuru kar deta hay.
      Agar ap ye soch rahe hain k apko to depression nahi phir b joron ya back bone may akleef ki shikayat hay to apko apna joota (shoes/slippers/sandles) tabdeel karnay ki ashad zaroorat hay. Hamesha aese jutay ka intikhab karen jis ki base soft ho ya atleast wood ya hard material ki na ho ye direct ap ki bones pe effect karti hay...... Aik sawal may nay apni ustaad Ma'am Humera Aleem say kia tha, "kia apko knees/toes/back bone may takleef hoti hay?" un ka jawab han tha jis ki mjhe puri tawakka thi. May nay ungli k isharay say unk chappal ki taraf ishara ki k is takleef ki waja ye hay. or aglay he din unho nay aik soft base ki sandle pehni hui thi yakeenan unhe bohat araam mila hoga.
      Ye un larkio k liay khaas tor say hay jo heels pehanny k ilawa kuch pehanna pasand nahi karti or after 25 years takleef may mubtala hojati hain.
Apna khayal rakhen. Khush rahen :)
   

No comments:

Post a Comment