New Feed

Consequence of evil can never be good!

Saturday, 20 April 2013

IPL "INDIAN PREMIER LEAGUE"

IPL (Indian Premier League) ek 20/20 domestic cricket tournament hay jo k BCCI (Board of Control for Cricket in India) ki sarparasti mein khela ja rha hay.Is tournament k pehle Chairmen or Commissioner thay taham corruption k ilzamat k baad unhe unk ohde se bartaraf ker dia gaya or us k baad se ab tak Rajeev shukla is league k chairmen or Commissioner hein.Is league mein is waqt 9 teams hissa le rhe hein jo poori duniya se khiladio ko bhari muawze ada ker k unki shirkat yaqeeni kerti hein siwaye Pakistani khiladio k jinhe mumbai attacks k baad se is event mein nazarandaaz kia ja rha hay or isi waja se Pakistan mein is league k shaikeen ki tadaad intehai kum hay.
Is event ka pehla edition 2008 mein khela gaya tha or usk baad se ab tak duniya bhar mein boht ziada pasand kiya jane wala event hay or is mein khelna duniya k her cricketer ki khwaish hoti hay kiuk is 20 over k game mein waqt kam or paisa ziada milta hay or isay is waqt bharat or kai doosre mumalik mein duniya ki ameer tareen league tassawur kia jata hay.Is league mein match fixing spot fixing scandals samne aye taham wo iski maqbooliyat mutasir nhe ker sakay balkay maqbooliat mein izafe ka bais banay hein.2010 mein pehli baar isay www.youtube.com pe barairast nashar kia gaya tou ye duniya mein pehli khel bana jise is website pe baraerast nashar kia gaya.
Is event ki pehli jeetne wali team Rajhistan Royals thi
2009 mein is event ki fateh Deccan chargers thi per ab wo is tournament mein hissa nhe leti
2010 or 2011 mein Chennai Super kings or
2012 mein Kolkata KnightRiders fateh thi
2013 ka event abhi khela ja rha hay jiska final 26 may 2013 ko khela jaye.
Yahan ye baat bhi qabil e ziker hay k is event ki buniyad ek tanaze k baad rakhi gai thi jab indian cricket league jo k bharti board se manzoor shuda nhe thi us k muqable mein laya gaya or is league ne dekhte he dekhte taraqi ki her manzil sir ki jab k indian cricket league apna ek he season kamyabi se mukamal ker saki or us mein bhi baad mein players ko unk muawzay poore ada nhe kiye gaye thay.

Ab dekhna ye hay k ye league kab tak kamiyabi se jari rehta hay........

No comments:

Post a Comment